Chhip chhip ashru bahaney walo
Moti vyarth lutaney walo
Kuchh sapno ke mar jaaney se
Jeevan nahi mara karta hai
Sapna kya hai, nayan sej par
Soya hua aankh ka paani
Aur tootna hai uska jyon
Jaagey kachchi neend jawani
Geeli umar bananey walo
Doobey bina nahaney walo
Kuchh paani ke bah jaaney se
Saawan nahi mara karta hai
Maala bikhar gai to kya
Khud hi hal ho gai samasya
Anshoo gar neelaam huey toh
Samjho poori hui tapasya
Roothey diwas mananey walo
Fati kameez silaaney walo
Kuchh deepon ke bujh jaaney se
Aangan nahi mara karta hai
Khota kuchh bhi nahi yahan par
Kewal jild badalti pothi
Jaise raat utaar chaandni
Pehne subah dhoop ki dhoti
Vastr badalkar aaney walo
Chaal badalkar jaaney walo
Chand khilono ke khoney se
Bachpan nahi mara karta hai
Laakhon baar gagriyan phooti
Shikan na aayi par panghat par
Laakhon baar kashtiyan doobi
Chahal pahal woi hai tat par
Tam ki umr badhaaney walo
Lau ki aayu ghataaney walo
Laakh kare patjhar koshish par
Upvan nahi mara karta hai
Loot liya maali ne upvan
Lutee na lekin gandh phool ki
Toofaano tak ne chheda par
Khidki band na hui dhool ki
Nafrat galey lagaaney walo
Sab par dhool udaaney walo
Kuchh mukhdon ki naaraazi se
Darpan nahi mara karta hai
This poem was written by Gopal Das 'Neeraj'
No comments:
Post a Comment
Please feel free to provide feedback, if any ..